Assala mu alaikum
Sajjad & Ashfaaq Shb.
Musummi Ko Dr.Muhammad Hani kehtay hain arsa 17 saal say watne gair main hoon, aap ka her proram baray showq aur bila naaga dekhta hoon.Buchpan say he invisible creation kay mtalay ka shoq hai, aur ubb bi inhi cheezoun kay mutalay main para hota hoon. humari dunya main Invisible Creations bay shukk moujood hai aur innkay saath invisible helpers bi, jo kay ALLAh kay hukum say apnay apnay kaam ko ser unjaam day rahay hain, aur kuch mukhlooqaat main insanoun ki tarah shreer mukhlooq bi hoty hai jo kay bani noe insaan ki dushman serif iss baat pay hoty hai k , insaan ashraf ulmukhlooqat kyoun hain?
Well, yeh episode dekhnay kay baad socha aap logoun ko bi lugay haath baat cheet ker loo,Jiss tarah insaan Kuttay (dogs) paal ker apnay dushmanoun per chortay hain issi tarah invisible life main bi kayee tarah ki mukhlooq hoty hai jo jinnat wa gaira paaltay hain aur inhain apnay insani dushmanoun per chordaytay hain, her invisible mukhlooq jinnat nehien hoty. invisible life kay haan kuttay jaissa paltoo janwer hota hai jissay QABOOS kehtay hain, yeh nurr(male) hota hai aur aksur gharoun main ya gharoun say bahir rehnay wali invisible mukhlooq issay paalty hai, isski maada (Female) Khabeess kehlati hai jo akser gundi jughoun special bathrooms aur toilets main paayee jaty hain. Durakhtoun (trees , specially Burgud , peepal aur neem kay )pay payee janay wali mukhlooq ko "KUNRY" kehtay hain, aur gharaon main rehnay wali mukhlooq ko "Ummaar" ya " Um Maar " kehtay hain, yeh mukhlooq ya jinnat aksur 4 cheezoun main dekhayee daytay hain... 1: Snake (Saanp) 2: Dogs (kuttay) 3: Lizerds (chipp kally) 4: Cats (Billi)....
iss waqt alame jinnaat main 4 baadsha moujood hain 1: yukta noush 2: Bukta noush 3: Imam Baar Nooh 4: imam Abu yousuf, inn main 2 muslim jinnat baadshah aur 2 gair muslim jinnaat baadsha hain, in sub main awwal durjay ka bara baadshah IMAM ABU YOUSUF hain.
jinnat ka qud (heights) ziada say zia da 4.6 feet hoty hai , in main her qissam kay zaban walay aur her mazhub walay aur her elaaqay kay mpujood hotay hain , jahan jahan jiss insan ki busty hote hain wohien per yeh asar andaaz hotay hain yeh galat hai k jinnat serif gair abaad jughoun pay ya baya banoun main hotay hain. Jinnat 2 qissam kay hotay hain aik khaki doosray aabi yeni zamin per rehnay walay khaki jinnay aur pani main rehnay walay aabi jinnat kehltay hain. aabi jinnat ko khushboo baree pasand hoty hai aur yeh akser durya (river) ya samundurr (sea) kay kinaray paye jayaty hain in main tawanayee akser mugrib kay baad taaza hoty hai .... Abi jinnat insanoun ko nuqsan nehien pohunchatay jiss tarah khaki jinnat pohunchatay hai hutta kay dounoun aak kay sholay say bunay hain, missal kay tore per sea snake kum zehrila hota hai ba nisbat zamin pat rehnay walay snake kay.Jinnat aik tawanayee ka naam hai jaissay bhaaph ya eindhan say engine ya garee chal suktay hai issi tarah jinnaat mil kay kissi bi cheez ko hila suktay hain aur apni shakal tubdeel ker suktay hain. Raha sawaal science ka ya aalaat ka yeh kabhi kabhi reading nehien dekhatay .. huttakay kayee jugoun per main nay khud mehsoos kiya hai lakin EMF khamoushi butata hai, etc Science kehty hai zamin her kat main hai lakin Quran kehta hai Zamin sakinn hai. ....
Pehlay darwon nay evulotion ka nuzria paysh kiya k insaan bunder ki oulaad hai jissay issi 1900 ki science nay hi galat qaraar dya DNA ki tehqeeq aur clooning kay baad.
Well shaid meree baatain aapko buree lugain lakin kuch dayna chahta hoon....
janay say pehlay " Bissmillah e Alwase ou Julla jala la hu " 11 baar purh liya karain, isskay elawa Aya tul Kursee kafee hai aapkay liye. Surah naas ka wird kerkay tehqeeq kiya karain aur purhnay kay baad apnay seenay pur dhum ker liya karain,...
aik baat aur aapko yaad hai wo keamari ki building wala waqiya ,, jiss veeran building main aap gaye thay ...
jahan aapnay suna tha k akser logg guzarnay walay kehtay hain k unko inki awaaz ya naam say pukaar ker koyee bullata hai, wohan pay ummaar abaad hain aur ussi episode main yaad hai jo aapnay second floor pay kutch awaazain sunien thee, unhain dobara suniye ga pls.
uss main kissi aurat ki awaaz nay aapko aapka naam lay ker pukaraa tha " Ay Sajjad".........
uss hissay ko dobara dekhiye ga pls.
wassalam Dr.Hani www.unjal.com.
Thanks, |